Wednesday, November 21, 2018

Me and Menopause!

                                                                              My story: me and menopause!

Is bar birthday  ke candles blow karte hue ek ajeeb si ghabrahat ho rahi thi. umr 50 years .
 mera sar fata ja raha tha aur kano mein se jase dhuan nikal raha ho.
lagta tha jaise kisine  sharir ke under koyla bhar diya ho.
 main samaj gaye thi ki yeh menopause hai. Lagta that ki meri  zindagi ka suraj dub raha hai.
aur main yahan birthday celebrate kar rahi hoon..! mai kisi bhi
 cheez pe concentrate nahi kar sakti thi. aur apne hi vicharon se dar lagta tha.
main kirana kharidne gayi. 
dukandar se poocha kitna hua.. ?
 usne bola 1kg mugh dhal, 250 gm gud, 1 pkt dhaniya powder... rs 75/ aunty. ! 
maine idhar udhar dekha. aunty ! han! mujhe hi bol raha tha! sach pucho to
 mujhe dukandaar pe gussa aya... aunty !!@@. matlab.. chama , safed bal, ... retirement ka dar .
.vahi curtains down vali baat! 
koi mujhe aunty kahta to mujhe low feel hota tha! mujhe lakta tha ki mere
 sapne dekhne ka time beet chka hai. my time is up ! 
iska matlab mera ghar se bahar jana..sabzi khardne ke liye, ya doctor ke
paas bhago BP fluctuate hoye isiliye!  nahi to mandir mein..puja paath ke liye!!!
what!!! yeh meri life nahi ho sakti! shahrukh khan jab senorita
 kehta hai to mera bhi dil dhadakta hai yaar!! mai bhi smart
dikhna chahti hoon! 
mai kuch dhoondh rahi thi! maine itihas ke panne padhna
 shuru kiya.. khastar aurton ke bare mein jinhe hum aaj bhi yaad karte hai.. 
history jo ek boring subject lagta tha ... school years mein.. ab
mujhe attract karne laga. maine 2 kahaniya chuni. ek Irena Sendlers ki.
 jisne  world war 2 mein warsaw ke ghetto se 2,500 jew bacchon ko nazi  soldiers se bachaya .
 yeh kahani mere dil ko chu gayi!  maine ise ek national seminar
 mein present kiya. maza aya . phir maine apna blog khola aur ek
organ donation form sign up kiya. dusri kahani .. dr. anandi joshi ki..
jo india ki first lady doctor hai.. yeh story ek conference mein
storytelling workshop conduct karne ke liye accept hui. yeh conference sydney, australia mein thi .
 main gayi nahi.kyon ki funds nahi the. 
ek baat saaf ho rahi thi ki mera ghar se bahar jana..
 sabzi mandi, doctor aur mandir ke alawa.. man chae manzilon
 ki oor kul agye the. meri zindagi balad chuki thi.  ek utsah, ek ehsaas.
 i love what i do. jee rahi thi isiliye nahi kyon ki main mari
nahi..jee rahi hoon kyon ki ab dil dhadakta hai..
 aur woh bhi shahrukh khan ke bina.!!!
yeh karte karte to ek saal beet ne wala hai. isbar birthday ke candles
bujhakar nahi , jalakar manungi.. isi sooch ke saath ki ane wali
zindagi ek naye ehsaas and naye utsah ke rangon se bhari hogi!! ek
 nai umang , ek naye tarang. kahaniya padhna, kahaniya sunna
 and kahaniya sunana. ab apne vicharon se
 dar nahi lagta.. accha lagta hai !!
Attachments area

No comments:

Post a Comment